
Madina, Madina, meri jaan Madina,
Jahan rehte hain mere Aaqa ﷺ, wo pyara Madina.
Jab yaad aati hai Gumbad-e-Khizra ki,
Aankhon se beh jata hai aansu ka dariya,
Kash me bhi dekhun wo noorani nazara,
Jahan har taraf hai Rehmat ka saya.
Na chahiye daulat, na chahiye duniya,
Bas ek hi dua hai mere Maula,
Marte waqt aaye Madina nazar,
Aur qabar bane meri Madine me jaa kar.
Ya Rasool Allah ﷺ, aap pe lakhon salam,
Aap ke sadqe me bani ye kainaat tamam,
Aap ke dar pe jo bhi aaya
Madina, Madina, meri jaan Madina,
Jahan rehte hain mere Aaqa ﷺ, wo pyara Madina.
Ya Rasool Allah ﷺ, aap pe lakhon salam.